Jamun Benefits In Urdu || Benefits of Jamun In Urdu || Jambolan Benefits || Jambolan History || Jamun Ka Faida || Jamun Fruit Health Benefits In Urdu || Jamun Fruit Benefits In Urdu || Jamun History In Urdu || Jamun Benefits || Jamun Benefits In English || Jamun History || Jamun Benefits In Urdu For Women
Jambolan ( Jamun)
Jambolan (jamun) is a fruit. It is pair of Mango. Jambolan Scientific name is Syzygium Cummini and English name is Jambolan. It is very useful for diabetic patient. Jambolan reduces diabetes and use original Jambolan vinegar also for diabetes. Jambolan has 83.7 % water, 14 % carbohydrates, 0.7 % protein and 0.3 % fats. It has calcium, protein, iron, tannin, elegiac acid and Jambolan glycoside. In this page you will find the information and Jambolan benefits in Urdu ( Jamun Ke Fayde) In Roman Hindi.
Jamun Fruit
Jamun Fruit aur (Aam) Mango ka choli daman ka sath hai. Mango ka season shuru hote he amoman barsat mein Jamun bhi market mein farokht hone lagta hai. Jambolan chota bhi hota hai, jise desi jaman kehte hain aur barha bhi hota hai, jo phulanda kehlata hai. Jab ke aik teesri qisam choti hoti hai jis mein gooda bohat kam hota hai. Jamun (Jambolan) ka nibatati naam Syzygium Cummini aur English name Jambolan hota hai. Shumali Pakistan se junubi Hind tak yeh aam paya jane wala phal hai. Atbaa ke mutabiq Jamun (Jambolan) ka mizaj sard khushk darja doyam hai. Jambolan ko aksar raa kar ke khaya jata hai. Jambolan ko mitti ki handi ya kisi dosre utensil mein daal kar hasb e zaiyqa salt shamil kar ke hilane ko raa kehte hain. Is amal ko Jamun (Jambolan) ka bhagarna bhi kehte hain. Is se Jamun (Jambolan) ka maza be misaal ho jata hai. Is ke ilawa Jamun (Jambolan) ko kali mirch aur kale namak ke sath bhi istemal kiya jata hai.
Jambolan Benefits In UrduJamun Ke Fayde Jamun (Jambolan) ke beshumar tibbi fawaiyd hain. Yeh kae amraaz ke ilaaj mein karaamad sabit hua hai. Marz diabetes ke jis mein lablab eke bigharne se khoon mein sugar ki miqdar ziyada ho jati hai aur urine mein bhi kharij hone lagti hai. Is marz se pore jism mein bighar peyda ho jata hai. Diabetes ka ghizai parhez he wahid ilaaj hai. Jadid medical science bhi diabetes ke hatmi ilaaj se abhi tak aari hai aur tahaal sirf sugar ke tawazun ko barqarar rakhna he ilaaj kehlata hai. Jamun (Jambolan) diabetes ko control karne mein kafi mufeed hai. Diabetes type 1 ke bajae diabetes type 2 mein Jamun (Jambolan) ka use ziyada faiydemand sabit hai. Jamun (Jambolan) ka use muaawin ghiza ya medicine ke taur par he liya jana chahiye. 20th Century mein boaht arsey tak Allopathic tareqa ilaaj mein bhi sugar control karne ke liye Jamun (Jambolan) ka fluid extract use hota raha hai. Mango mein sugar bohat ziyada hoti hai. Lekin diabetic patient kabhi kabhara mango khan eke bad Jambolan kha len to sugar level aitedaal mein rakha ja sakta hai, nez isse mango ki hiddat bhi mutadil ho jati hai. Bengal samet mutadid mumalik mein diabetes ke patients ko Jambolan aur mango ka juice masawi wazan mila kar pilane ka riwaj hai. Yeh mashroob aik umdah ghiza bhi hai, is ke istemal se piyas ki shiddat bhi kam ho jati hai. Sugar ke marz mein Jambolan ka sirka bhi muassir hai. Bashart yeh ke wo qadeem qudrati tareqey ke mutabiq jaman se tayyar shuda ho, synthetic ( Acidic ya Artificial ) na ho. Mausam e barsat mein ishaal, gastro aur deegar pait ke amraaz ke liye jaman ka vinegar faiydemand hai, jo sadiyon se mutamil hai. Loo lag jane ki soorat mein bhi jaman khane se asraat kam ho jate hain. Jambolan khane se blood ki thickness aur acidity khatam ho jati hai. Face ke daagh, dhabbe, jhaiyyan Jambolan ya Jambolan ke syrup ke musalsal istemal se door ho jate hain aur chehre ki rangat nikhar aati hai. Chehre ki shadabi, daagh, dhabbey, jhaiyyan door karne ke liye jaman ka beyroni istemal bhi kiya jata hai. Is maqsad ke liye jaman ki gutliyon ko pani mein raghar kar is ka paste banae aur chehre par is ka mask lagaen. Jambolan blood cancer mein marz ke azala mein muaawin hai. Jigar aur Tilli ke waram mein ache asraat ka hamil hai. Jamun (Jambolan) ke chemical tajziya ke mutabiq is ke goodey mein 83.7 % water, 14 % carbohydrates, 0.7 % protein, 0.3 % fats hota hai. Is ke ilawa is mein Vitamin A, B, and C, melk acid, oxalic acid, gelc acid aur tannin ke sath aik khushbodar oil bhi hota hai. Seeds mein calcium, protein, tennin, elegiac acid , gelc acid aur Jambolan name aik glycoside hota hai. Jamun (Jambolan) mein faulad bhi paya jata hai. Is tarha yeh khoon ki kami wale afraad ke liye bhi mufeed hai. Jambolan jism ko taqwiyat deta hai. Mada hayat ko garha rakhta hai. Urine ki jalan mein bhi mufeed hai. Agar mou pak jae to Jambolan ke naram patte aik pao le kar aik kilo pani mein josh den, bad azaa chaan kar kuliyan karne se faiyda ho jata hai. Jaman ka khana awaz ko durust aur gale ko saaf karta hai. Raat ko sote waqt mou se pani behne ki shikayat ( Badi kefiyat ) ko door karta hai. Jambolan meyde ki acidity ko khatam karta hai. Jambolan mein maujood tannic acid aur deegar faiydemand ajzaa ki wajah se meyde ke zakham aur aanton ke waram is ke istemal se thek ho jate hain. Meyda aanton ki kamzori ko door karne ke liye aik pao Jambolan ke vinegar mein 3 pao sugar mila kar shikanjabeen banaen aur subah sham use karen. Bawaseer ka khoon band karne ke liye 20 gram Jambolan ke patte aik pao dodh mein raghar kar chaan kar pilana mufeed hai. Naujawan larhkiyan aur khawateen leucoriya ke marz mein Jambolan ki ghutliyan 50 gram bareek pees len aur is mein kushta beyza margh 10 gram shamil kar len. Yeh safoof 2 se 3 gram bilhaz umar subha neharmou aur sham 5 baje dodh ya sada pani se use karen. ( Dauran heyz istemal na karen ) 20 roz ka istemal kafi o shafi hota hai. Jambolan vitamin C ka qudrati khazana hai. Jamun History In English Jamun (Jambul) And The Jamun TreeLatin Name : Syzygium cumini In India, the Syzygium cumini tree and its fruit are known variously as Jamun, Jambul, Jaam, Jambul etc. Worldwide, it is known by some other names like, Java Plum, Black Plum, Indian blackberry, Portuguese Plum, Jambolan Plum etc. The jamun tree is native to India and its bordering countries like Nepal, Pakistan, Bangladesh Sri Lanka and even Indonesia. In 1911, this tree was introduced in Florida by the USDA. The tree grows equally well in both the tropical and the sub tropical regions. Though organised cultivation is not done much, a lot of trees are grown individually by people having land in their backyards. In the wild however, it grows all over India. It is a large and hardy evergreen tree and lives for over a hundred years. It starts flowering in the month of March and continues till May. Thereafter, with the onset of monsoon in June it starts bearing fruit. The flowers are white and have a sweet fragrance. The fruits do not ripen at the same time and are picked daily. Jambul fruits resemble grapes and are oblong or ovoid in shape. Only ripe fruits are picked as they do not ripen once they are picked. They have a single seed and a soft dark purple colored almost black skin and a lighter purple flesh. When eaten, the fruits coat the mouth and the tongue a deep purple color that stays for a few hours.. The fruit is sweet and tart and leaves a slight astringent action in the mouth. The Jamun tree is revered by the Buddhists. Some Health Benefits Of Jamun Fruit In General
Some Specific Uses Of Jamun (Jambul) For HealingDIABETES
|
|
Post a Comment