toqeer toqeer Author
Title: Libra Horoscope In Urdu || Burj Meezan In Urdu || Libra Star In Urdu || Libra In Urdu || Libra Personality
Author: toqeer
Rating 5 of 5 Des:
Libra Horoscope In Urdu || Burj Meezan In Urdu || Libra Star In Urdu || Libra In Urdu || Libra Personality  Libra Libra starts from 24 Septe...
Libra Horoscope In Urdu || Burj Meezan In Urdu || Libra Star In Urdu || Libra In Urdu || Libra Personality 

Libra

Libra starts from 24 September and end of 23 October. Libra is known as the Scale of Justice. Librans are easygoing by nature. They are even tempered and do not lose their cool. They have a pleasant personality and charm people with their kindness. They are true Romantic at Heart. They are quite loyal and committed with their loved ones. Librans are very neutral and optimistic in their approach towards life. They like being natural. They are honest, truthful and hate lies.

They are quite flexible by Nature.Librarian is a very romantic and passionate personality. They believe on positivityLibra has a true heart and they are very kind people. Librarian is a very sincere about their work. They are very possessive, sensitive and emotional personality. They hate lies and believe in truth and honesty. Librarian is a charming and attractive personality. They like love and respect. Librarians are loves and caring with children. In this page you will find the information about Libra. In this page you will read Libra (Burj Meezan) in Urdu and Roman Urdu.

Libra In Urdu


24 September to 23 October

Nishan -Tarazu

Ansar - Hawa
                                                               Hakim Sayara - Zohra
 

Khusbakhti ka Adad - 6

Mawafiq Rang - Safaid Zard, Sabz , Saad pathar - Almas, Sang Dudha

Libra 2012 In Urdu Burj Meezan

Libra afrad jab kisi maslay ke baray mein mabahsay main ulajh jatay hain to unko moukhalif ke daleel ka samna karna parta hai aur jab woh yeh mahsus kartay hain ke mokhalif ke daleel galt hain to un mein junjhlahat paida hojati hai khun ke un ke khayal mein yeh baat na insafi ki hai. Lehaza woh mazloom ki hamaiat mein mokhalifon se nibro azma hojatay hain.

Burj Libra se taluq rakhnay walay logon ko rujat pasand ya rawati tor tareqon se ghari dil chuspi rakhnay walay nahin kaha jasakta khun ke kisi khas rahan sahan ya tarz budbash ke qail nahin hotay. Taham unki quwat aradi nahayat mazbot hoti hai aur yeh jo tareqay ekhtiar karna chahain woh ba asani ekhtayar kar saktay hain. Baher kaif yeh log bhi dosron ki khatir esar se kam latay hain. Ye log kam amez aur sharmelay waqa hotay hain. Ajnabi logon ya kabhi kubhar ke mulaqatiyon se milnay mein pash-o-pash se kam latay hain. Apnay nigi mamlat aur zati ehsasat ke bare mein baat cheat se guraiz kartay hain aur apne chand entahai qarebi aur gheray doston ke elawah kisi se bhi dil ki baat kar na pasand nahein kartay.

Libra Ki Lashauri Jiblat

Libra afraid kay beshter maqasid aur kamon ka taluq lashauri jiblaton say hota hai woh aztarari andaz mein faislah nahein kar saktay tawazan aur rishtah-o-taluq say Libra afraid ka bara gahra rabt hai. In khususiyat ki gunj iss alamat meinn mehsus ki jasakti hai jo iss burj kay sath makhsus hai yani tarazu aur issi ki wajah say burj ka nam meezan ( Libra ) rakha gaya hai. Jis kay mani tarazu hain. Issi tarah rishtah-o- taluq ki akasi zohra kar raha hai. Jo burj Libra (meezan) ka hakim saiyara hai. ye saiyara bahmi taluqat kay leye mahmez ka kam kerta hai aur iss mamlay mein iss ka koi jawab nahein lahza meezan afraid (Libra ) kay ba kasrat maqasid aur lashauri jiblatain unkay leye aksar cahsmay ki haisiyat rakhti hain. Ye jiblat har kam kay moqay par “keun” ka sawal paida karti hai chunancahy jab Libra (meezan afrad)kay samnay do mukhtalif kam atay hain aur unhain un mein say kisi aik kay haq mein faisla karna ho to woh eztarari andaz mein foran koi faisla nahin kar saktay.

Jab aisa mamlah unkay samnay aye ga to woh eskay tamam pahluon per nazar dalain gain achay aur buray pahluon ka jaizah lain gain (Nishan Mezan ki monasbat se) aur yeh dekhain gain kay kia koi mutbadil shakal nikal sakti hai ho sakta hai kay aisay mawaqa per woh log unper dabao dalain jin main jald bazi hoti hai aur Libra afrad per zor dain kay who jald koi na koi faisala karain.Yeh sahi hai kay mezan afrad kisi faisalay kay moqa per lait o lal se kam latay hain aur yeh aisi bat hai jis kay manfi asrat bhi hosaktay hain e aisa shaks jo qati rai ka izhar na ker sakay aur koi dotok faisala kernay kay bjai bech main inkar hai woh nuqsan utha sakta hai aisay log yeh bhi ker saktay hain kay pehlay ekfaisala ker lain aur pher esko badal dain esqisim kay tarz amal se dusron ko khush kerna todur kibat hai woh apnay sathion kobhi badil aur naraz ker saktay hain bahar hal yeh misalain Libra afraid ki khasusiat ka sirf manfi pahlu zahir kerti hain inper nazar rakhna zaruri hai. Libra afrad ko unse bachnay kay leyeh zaruri hai kay woh enlogon kay dabao main aker koi faisala na karain jo ense fori qadam uthanay kay leyeh dabao daltay hain.

Agar woh mamlay kay tamam pahluon per nazar dalnay kay bad koi faisala karain gain towoh yaqenan jald bazi main keyeh huai faisalay se behter hoga han unko bahar hal apna faisala danay main ziadah takhir nahin kerni chaiay aur jokuch kerna hai maqul waqt kay ander ker leana chaiay.Libra afraid main rawabit qaem kernay ki jo lashauri khahish pai jati hai uski laueat zati aur qair zati donon tarah ki hai jaisa kay bataia ja chka hai kay Burj mezan rawabit o taluqat ki alamat hai enrawabit main shadi biaha sharakat aur bahmi tawun shamil hain zati tour per mezanafrad agar kisi kam ko apni zat tak mahdud rakhna chain to woh aisa ker saktay hain unko kisi dusray ka tawun hasil kernay ki zarurat nahin hogi.

Lakin mezan afrad ka fitri melan tawun ki taraf hai aur woh zati aur pasha waranah noueat kay kamon main dusron kay sath milker kam kernay main musart mahsus kertay hain wasi tar manon main esbat ko youn samaziay ga kay agarchay rawabit se motaliq mezan afrad ka fitri taqaza susray logon ko ekja kernay ki shakal main zahir hota hai lakin woh aisa es waqt kerna chatay hain jab logon kay darmian akhtlaf rai paia jai. Aisay moqa per unki koshis hoti hai kay iekhtlaf rai rakhnay walon ko woh kisi ek noktay per lakar un kay darmian mofahmat paida kardain.

Mohmat aur itafaq paida kernay ka yeh kam mezan afrad bari khubi se anjam dai saktay hain woh zati sitah per yeh kam apnay doston kay ikhtlafat dur kara kay aur unko milaker bhi anjam dai saktay hain aur gair zati stah per woh yeh kam baray baray gorohon kay darmian ikhtlafat ko rafa kara kay bhi anjam daisak tay hain maslan mezan afrad agar kisi karkhanay ya adaray main ala afsar ya malik ya union leader ki hasiat se kam kar rahay hon to woh intazamiah aur mazduron kay darmian salsi sabit hosaktay hain woh har jaiz shikait ko sunnay kay leyeh taiar rahtay hainaur esper zaruri tawajah datay hain apni en salahiaton ki wajah se mezan afrad safarat kay faraiz bhi bahut achchi tarh anjam daisaktay hain keonkay eskam main woh log ziadah kamiab hotay hain jo hikmat amli main mahir hon dostanah taluqat ko farog dai sakain aur ekdusray kay mokhalif anasir ko ek maiz kay gird btha ker unmain mofahmat paida kersakaimn.

Libra Khawateen Ke Khasusi Ausaf

Elm najum main Libra aurat kay 30 se zaid achay buray khawas bian keyeh gai hain jo uthtay bathay apnui kitab main 35 khawas ki nishandahi ki hai yeh woh khawash hain jo agar kisi aurat main pai jain to esko mukamal mezan aurat kaha jai ga lakin agar kisi aurat main hasb zail 5 imtiazi ausaf nazar aian to ham esko aisi aurat kah saktay hain jo mezan banay kay dour se guzar rahi hai.

1-Rishton aur taluqat kay maidan mein aur khasusan zahni mashagal mein shidat pai jati ho.

2-Art, adab mosiqi, sajawat aur banao singahr se dilchaspi pai jati ho.

3-Apnay tamam taluqat main nazm o zabt, tarteb aur ham ahangi paida karnay ki motbadil shakal yeh bhi hosakti hai kay unsay har mahaz per jhagra aur hangamah barpa ker rakha ho.

4-Umar, jografiai aur nasli imtiaz kay bagair logon se khshgawar taluqat qaim ker rakhain hon, chahai unmain gahrai na ho.

5-Andaruni aman aur ham ahangi kay narm o nazuk ahsasat pai jatay hon.

Mezan aurat jab tak jazbati tour per pukhtagi kay marhalay main nahin pahunh jati esmain tawazan ki kami rahti hai esmain lksar mutzad noueat kay kahwas bhi pai jatay haiun.
Libra Woman In Urdu
Mezan khawateen apnay husn aur kashis ki wajah se mashur hain missal kay tour per mashur adakarah burshi barwadat ka taluq mezan se tha rita hai warth bhi jin ki shadi agha khan se hui, burj mezan sse hi taluq rakhti thin mezan khatun apnay es akhtaiar sse jo eska husn aur eski imtiazi hasiat usay bakhsti hai puri tarah kam leana chati hai woh apnay ap ko bahtaren sluk ki mustahiq samajhti hai woh samajhti hai kay sari dunia usi ki marhun minat hai mezan khawateen dusron ko wargalanay kay fen main mahir hoti hain.

Mezan aurat main ghulu aur intha pasandi pai jati hai esi wajah se uskay akhrajat baz auqat fazul kharchi main dakhil ho jatay hain keonkay woh hamaqt ki had tak daulat zai kerti hai woh jab singhar ka saman , sabun, shampoo, bath oil kharednay jai gi to darjnon aur gailanon kay hisab se khareday gi pher woh en chezon se mutmain bhi nahin hoti eska zoq aur maiar etna buland hota haikay esko koi chez pasand nahin ati esi tarah eska khana bara purtaish hota hai jis ki wajah se uskay jism per charbi charnay lagti hai aur badan main farbahi bhi ajati hai labas bhi aksar nahait umdah aur nazakat keyeh huai hota hai aur khushbuiat main es buri tarah basa hua hota hai kay dusron ko woh nagwar guzar sakta hai mezan aurat nai nai chezon ki dildadah hoti hain aur her nai faishan ki kharedair. Hadir aur nayab motiyon say usay khas dilchuspi hoti hai aur yeh moti iss ko jis qemat per mil jain woh khared nay ki koshis karay gi.

Libra aurat saman taesh ki farawani kay sath zindagi guzarna chati hai aur woh shadi kay leyeh aisay afrad ki talash main rahti hai jo esko arzuon, shouq aur umangon ko bher pur andaz main pura ker sakain mezan aurat khushamad pasand bhi hoti hai enlogon se bahut khush rahti hai jo chaplosi karain eski tarifain kertay rahain aur esko tohfay tahaif pash karain woh hameasah khush umed rahti hai mausi uskay pas phatak bhi nahi sakti aur woh apni zaruiat aur kahisat ki takmel kay leyeh qismat per bharosa karti hai. Mezan aurat ek mamuli jhonpray ko bhi mohabat ka gahwarah bana sak ti hai woh apni shamon ko dawaton zaifaton aur partiyon kay zarya yadgar bana dayna chati

Woh partiyon main achi gaza aur umdah mashrubat kay sath mosiqi ka ahtamam zaruri samajhti hai agar mezan aurat kisi ziafat ka intazam gi kamiab dilkash aur yadgar banay kay leyeh har jatan karay gi roshni khushbu araish mosiqi nafees dasterkhan aur qalen garz kay her chez wahan moujud hogi woh choti se choti chez per nazar rakahy gi aur koshiah kary gi kay koi aisi bat nah okay dusron ko angusht numai ka moqa milay ek khas bat yeh hai kay mezan aurat main husn o jamal ka ihsas hi qawi nahin hota balkay woh es maidan main jaded taren rohjanat aur milanat se bhi bakhabar rahti hai.

Woh en mouzuat per jin se isko dilchaspi hai mosal sal guftagu ker sakti hai yeh mozu awamun nas, art, samajyat ,qanun husno jamal , tarikh, akhlaqyat, wagairah se motaliq hoto pher eski garmi guftar dekhnay se taluq rakhti hai woh madranah jazbat se ziadah shirakat daranah jazbat ki malik hai aur tanhai per logon ki rafaqat ko tarjeh datyi hay taham woh taraqi khushali aur bay fikri ki zindagi hasil karnay ki arzu main kurhti nahin rahti woh sirf ek aysay rafiq hiat ki talash main rahti hai jo iss kay qadmon main daulat kay dhair laga day aur iss ki arzuon aur tamanaon ko pura kar day.
Libra Khawateen Ke Mouzu Pashay
Libra (Meezan khawateen) ko jin paishuon say khas tour par dil chaspi ho sakti hai woh hisab zail hain. Art, faishan, khawateen kay malbusat, afzaish husn kay mashagil, taluqat ama, faroshi, gul faroshi, zawarat sazi aur unki farokht, qanun, araish khana, farnicher aur us ki designing, farokht aur ishtaharat, mosiqi, share-o-shayari, aur us say motaliq kitabon ki ashat, safart kari, saisat, aman qaiam kernay ki koshishain , tabi faraiz aur tailring wagaira.



About Author

Advertisement

Post a Comment

 
Top