toqeer toqeer Author
Title: Watermelon Benefits In Urdu || Benefits of Watermelon In Urdu || Watermelon Benefits For Skin || Watermelon Benefits For Health || Tarbooz Benefits In Urdu || Tarbooz History || Tarbooz Ka Faida || Tarbooz Fruit Health Benefits In Urdu || Tarbooz Fruit Benefits In Urdu || Tarbooz History In Urdu || Tarbooz Benefits || Watermelon Benefits In English || Watermelon History || Watermelon Benefits In Urdu For Men || Tarbooz Seeds Benefits || Health Benefits of Tarbooz
Author: toqeer
Rating 5 of 5 Des:
Watermelon Benefits In Urdu || Benefits of Watermelon In Urdu || Watermelon Benefits For Skin || Watermelon Benefits For Health || Tarbooz B...
Watermelon Benefits In Urdu || Benefits of Watermelon In Urdu || Watermelon Benefits For Skin || Watermelon Benefits For Health || Tarbooz Benefits In Urdu || Tarbooz History || Tarbooz Ka Faida || Tarbooz Fruit Health Benefits In Urdu || Tarbooz Fruit Benefits In Urdu || Tarbooz History In Urdu || Tarbooz Benefits || Watermelon Benefits In English || Watermelon History || Watermelon Benefits In Urdu For Men || Tarbooz Seeds Benefits || Health Benefits of Tarbooz
 

 
 
 

 


Watermelon (Tarbooz)

Watermelon (tarbooz) is a juicy fruit and 95 % water in it. It is cold in nature. Watermelon has no fats and little bit calories. It is one of the Heaven fruits. Watermelon belongs to the melon, crambo family, named cucurbitaceous family. Its natural sugar level is 6 % to 12 %. Watermelon and its juice (sharbat) are very useful in summer season. It has many kinds. Watermelon has vitamin B and C, potassium, iron. The red color of watermelon is cause of Lycarupeue it is very energetic component for human body. Watermelon can eat with black pepper powder and salt. In this page, you can see the benefits of Watermelon in urdu (Tarbooz Ke Faide) In Roman Hindi.

Benefits of Watermelon In Urdu ( Tarbooz Ke Faide)


Tarbooz Image (watermelon)
Agar aap ne weight kam karne ki than li hai to watermelon (tarbooz) ka mausam aa gaya hai. Ise apni pasandeeda ghiza bana lijiye kyun ke is mein bohat kam calories hoti hain aur fats ka to naam o nishan he nahi. Tarbooz (Watermelon) ke seeds (Tarbooz Ke beej) zehni dabao hypertension ko kam karne mein madad dete hain. ALLAH PAK ne insaan ko be shumar neymaton se nawaza hai. In he neymaton mein watermelon aur melon garmi ke mausam ke khud rasaa asraat zaiyl kar dete hain aur hum tarawat hasil karte hain.
Tarbooz (Watermelon) ki bohat si qismen hoti hain aur aap ke shehar mein jis bhi qisam ka dastiyab ho, ghizaeyat aur tibbi fawaiyd se bharpor ho ga. Aaj kal garmi ki muddat barh rahi hai. Din ke waqt loo chalne lagti hai. Yeh aag barsate hain, in mein halki ghizaaon aur pani ke istemal par tawajja deni chahiye. Shop aur roads par aate jate tarbooz (watermelon) ka juice (sharbat) bechne wale nazar aate hain aur fruits ki shop par tarbooz (watermelon) ked her raat hone se pehle ghayab ho jate hain. Is se pata chalta hai ke logon mein garmi ka torh karne ka shaorr maujood hai.
Tarbooz jannat ke phal (fruits) mein se aik hai. Is ki family mein se kharboza, sardey aur garmey ka talluq hota hai yani yeh cucuritace family hai. Khuwa aap gol tarbooz (watermelon) khareden ya oval shape mein, qudrati sugar ki miqdar 6 % se 12 % hoti hai.
tarbooz (Watermelon) ki tareekh yun raqam ki gai ke yeh muntaqa hara par waqeya Africa ke jungalaat se daraamad hai aur 2000 qabal maseeh mein wadi e neel mein dekha gaya. Hindustan mein is ki kaasht ziyada hoti hai. Is ka weight 2.5 kg se le kar 38 kg tak ho sakta hai. Is ke chilke ka rang dark green aur andar se red hota hai. Darmiyani hisse mein seeds hote hain, zahir hai rasdaar fruit hai aur 95 % water hota hai aur vitamin B ke sath sath iron hasil karne ka bohat acha zariya hai. Tarbooz (Watermelon) ka red color lycarupeue ki wajah se hota hai aur carrot ka red color bhi yehi afadiyat rakhta hai. Jo tawanai bakhsh aur maussir hota hai. Yeh juz jismani khuliyat ko nitrogen dioxide se mehfooz rakhta hai. Khayal hai key eh muzir sehat acidity juz cigarette ke fog aur chemical pollution se peyda karta hai. Lecopmain cancer ke asraat tak se bachata hai.
Tarbooz Piyas bujhata hai aur jism mein pani ki kami nahi hone deta hai. Albatta ise ziyada khane se gas ki shikayat bhi ho sakti hai. Tahum Hukmaa kehte hain ke do khano ke darmiyan waqfey ke dauran khana chahiye aur salt ya black pepper pisi hui chirakh kar khana mufeed hai.
Tarbooz (Watermelon) ka juice maqbool zaror hai, magar afadiyat mein is ke piece kar ke khana he mufeed hai. Vitamin B ke ilawa C aur potassium ki miqdar bhi shamil hone se is ke tibbi khuwas barh jate hain. Tarbooz (Watermelon) ka iron katne ke bad kala nahi parhta, jab ke apple ki badalti hui rangat dekhne walon ko bhali nahi lagi. Watermelon kharedte waqt khayal rakhen ke kahin gehra cut na ho aur koi bhora dhabba bhi na ho, saaf daana fridge mein thanda kar ke khayein.

                              Tarbooz Benefits In English

 


 





About Author

Advertisement

Post a Comment

 
Top