toqeer toqeer Author
Title: Lemon Benefits In Urdu || Benefits of Lemon In Urdu || Lemon Benefits || Lemon Ka Faida || Lemon History In Urdu || Lemon Benefits In Urdu for Skin || Lemon Benefits In English || Lemon History
Author: toqeer
Rating 5 of 5 Des:
Lemon Benefits In Urdu || Benefits of Lemon In Urdu || Lemon Benefits || Lemon Ka Faida || Lemon History In Urdu || Lemon Benefits In Urdu f...
Lemon Benefits In Urdu || Benefits of Lemon In Urdu || Lemon Benefits || Lemon Ka Faida || Lemon History In Urdu || Lemon Benefits In Urdu for Skin || Lemon Benefits In English || Lemon History

 
 

 Lemon Benefits for Skin

Lemon is enormous benefit for us. There are lots of Vitamin B, vitamin C contains in lemon e as compare to other fruits. Modern research is now known that there is no shortage of Vitamin. Calcium is also present in lemon. Lemon is very benefits for skin. Here you can find wrinkles on face, skin of face, acne, chikni jild, jild ki hifazat and beauty tips are given in Urdu.


Lemon kay Faiday :

Lemon ghizayi ahmiyat kay elawah apni jamalyati ahmiyat bhi rakhta hai is mein vitamin B, Vitamin C saray fruits say ziadah moqdaar mein hai. Is mein vitamin A khafeef moqdar mein aur vitamin B kafi moqdar mein aur vitamin C sab say ziadah moqdar mein hai aur yahi vitamin sab say afzal hai.

Jadeed tehqeeq ki ro say lemon mein vitamin D ki bhi kami nahi hai is kay elawah lemon juice mein calcium (chuna) kay markabaat paye jatay hain jo nah sirf insani nasho numa balkeh afzaye husn kay liye bhi nehayat zaruri hain.
Afzaish husn kay liye is kay istemaal ki tafseel darj zeel hain.
Chikni Jild:

Jin khawateen kay chehray ki jild be had chikni aur khulay masam wali hai in ko chahiye keh chehrah dhonay say pehlay lemon cleansing lotion say jild saaf karein.
Phir chehray dhonay kay baad velasmooth lotion istemaal karein. Is say chehray ki chiknahat door hogi aur jild kay khulay huye masam yaksar band ho jayein gay.

Chehray ki Rungat:

Jin khawateen kay chehray ki rungat pehlay gori ho aur phir sanolli honay lagay in ko chahiye keh subha kay waqt aadha lemon neem garam pani kay aik glass mein nichor kar pi lia karein aur baqi aadha lemon balayi mein nichor kar raat ko sonay say pehlay chehray par malein.

Ainak Walay Chehray

Jo khawateen ainak lagati hain aur ainak say in ki aankhon(EYES) kay ird gird halqay par jatay hain in ko chahiye keh lemon kay chilkay bareek pees kar neova cream kay sath mila kar aankhon kay halqon kay gird lagayein. Halqay door ho jayein gay.

Waladat Kay Baad Cherah:

Bachay ki waladat kay baad aksar khawateen kay cheray ki jild par dhabbay par jatay hain. Yeh daagh jism mein iron aur vitamin C ki kami say paida hotay hain. In ko chahiye keh nehar monh shehad aur lemon ko pani mein mila kar piyein. Chand roz kay istemaal say dagh dhabbay door ho jayein gay.

Acne:

Lemon ka mask chehray kay acne ko door karta hai. cheray ko dettol soap say dhokar lemon kay chilkay nehayat bareek pees kar glasreen mein mila kar chehray par mask karein.
Puray cheray par mask karnay kay bad isay kam say kam 15 minute cheray par laga rehnay dein.

Baaz khawateen kay cheray ki jild bari chikni hoti hai khas kar subha kay waqt mathay aur naak par itni chiknayi hoti hai jaisay khob oil mila hua ho.Woh make up karti hain to thori deir baad chiknayi sara make up kharab kar deti hai. Aisi khawateen ko chahiye keh who haftay mein teen bar cucumber juice mein 1 spoon lemon ka ras mila kar chehray par is amezay ka mask karein.

Monh dhokar strangent ya velasmooth lotion lagayein is kay baad face powder lagayein. Nez aisi ghiza khayein jis mein chiknayi kam ho. Din mein aik bar kisi lemon cleasing say cleasind karna bhi mofeed hai. Aik lemon ka ras rozanah piyein.

Cheray ki Jhaiyan:

Cheray ki chayiyan door karnay kay liye bhi lemon faidah mand hai.Mandarjah zeel noskhah chayiyan door karnay kay liye istemaal karein

lemon1/2, haldi ½ spoon aur besan 2spoons mila kar paste bana lein aur is ka mask face par karein. Do teen bar yeh mask karnay say chehray ki chayian door ho jati hain.

Wrinkles on Face:

Jhurriyan door karnay ka faidah mand noskha yeh hai keh 10 tolah shehad mein 1 lemon ka ras mila kar chehray par lep kar kay 15 minute kay baad dho dalein. 15 ya 20 din laganay say cheray ki jhurriyan door ho jati hain.

Skin of Face:

Chehray ki jild ziadah chikni honay ka bais bud parhaizi aur bad hazmi hai jin kay chehray par hamesha chiknahat mojood rehti ho in ko chahye keh khorak sada aur zod hazam khayein ghee aur anday jaisi cheezon ka istemaal buhat kam kardein sangtaray ka juice aur lemon ka istemaal khanay kay sath zaroor karein is say jald ki chiknahat door ho jati hai.




 




About Author

Advertisement

Post a Comment

 
Top