toqeer toqeer Author
Title: Taj Mahal History in Urdu || Shah Jahan History In Urdu || Shah Jahan And Mumtaz Story In Urdu
Author: toqeer
Rating 5 of 5 Des:
Taj Mahal History in Urdu || Shah Jahan History In Urdu || Shah Jahan And Mumtaz Story In Urdu   Taj Mahal History in Urdu: Shah Jahan ne Ta...

Taj Mahal History in Urdu || Shah Jahan History In Urdu || Shah Jahan And Mumtaz Story In Urdu

 Taj Mahal History in Urdu: Shah Jahan ne Taj Mehal ki imarat apni mehboob malkah Arjumand Bano jisay Mumtaz Mahal ke naam se yaad kiya jata hai ki yaad mein tameer karaya. Arjumand Bano ki wafat 1630 mein hoi. Kehte hain ke is ke tameer ke liye door daraz ke mulkon se isi fun ke mashoor karigar bulaye gaye. Jinhon ne Taj Mehal ka namuna banane aur is ki tameer mein Shah Jahan ki isi khawahish ko amli jamah pehnanay se pehle is ka lakri ka aik namuna tayar kiya aur phir karigaron ne is ki naqal ki. Taj Mahal ka mojooda mansooba kafi behs ke baad tay paya tha. Is ki tameer Ustad Isa ki zair-e-nagrani hoi jisay 1000 mahana salary par rakha gaya. Aik rawayat ye bhi hai ke Spain ke Father Manook ki ijazat se Taj Mahal ka nasha (map) Goronimovoronao ne tayar kiya tha lekin mughlia door ke kisi bhi morakh ne is par roshni nahin dali ke taj mehal ka namoona kisi ghair mulki ke takheel ka marhon-e-minat hai. Aik French tourist jis ne taj mahal ko 1660 mein dekha woh likhta hai ke:
 "Ye ala tameer is baat ka sabot hai ke Hindustani fan tameer se wanafiq nahin hain agar chay is ka tarz Europe mein rehne walon ke liye hairan kun hai, lekin ye tarz kisi surat bhi dilkashi mein kam nahin aur har dekhne wala is ki tareef kiye baghair nahin reh sakta."

Ye baat qabil ghoor hai ke taj mahal ke dakhli darwaze par 1647 ki tareekh kunda hai aur is ki tameer ki mudat 17 years banti hai. Ye bhi kehte hain ke Shah Jahan ne taj mahal ke liye arz jaedad waqaf kar di thi. Jis se 1 lakh rupees salana amdani hasil hoti thi. Is ke ilawa itni hi raqam shops aur markets ke karaya se bhi wasul ho jati thi. Pcrcy Braoin ne likha hai ke: "Ye baat qabil fakhar hai ke jahan taj mahal ka pura dhancha Musalmanon ke hath mein nazar ata hai wahan decoration aur naqsh nigari, hindu fankaron ki koshish aur kawish ka natija maloom hoti hai.
 Taj Mahal Picture
Taj mahal dunya mein ishq aur mohabbat ki behtareen yadgar hai. Ye apni tarz tameer aur namoonay ke aitbar se mukamal tareen hai aur isay pathar mein ghazal se tashbih di gayi hai. Isay " safaid patthar ke khawab" ke naam se bhi pukara jata hai. Isay "Abdiat ke rukhsar par fani aansoo" ke naam se mosoom kiya gaya hai. Is ki khubsurati aur dilkashi par mulki aur ghair mulki poets ne qaseeday likhe aur apne ehsasat aur jazbat ka izhar kiya. Shah Jahan ne khud in ilfaz mein is ki tareef ki hai:

    "Agar koi mujrim is mein panah hasil kare tou woh usi shakhs ki tarah ho ga jisay maaf kar diya gaya ho. Woh apne tamam gunahon se bari ho jaye ga agar koi gunahgar is emarat ka rukh kare tou us ke pehle gunah dhul jayain gey. Is imarat ki bulandi dard bhari ah paida karti hai aur suraj aur chand ko majboor kar deti hai ke woh apni ankhon se aansoo bahayain."

Taj Mahal True Love Story Information:

 Jub kabhi bhi dunya mein mohabbat karne walon ka zikar kiya jata hai tou is zikar mein Taj Mahal ka naam zaroor ata hai. Taj Mehal ko world ke chand hairat angez ajoobon mein se aik ajooba mana jata hai aur dunya bhar se log isay dekhne ke liye atay hain magar Taj Mahal ki dastan se bohat kam log waqif hain. Taj Mahal haqeeqat mein aik mohabbat ki zinda nisal hai. Kayi sadiyon se is ka zikar shayaron ki shayari ki zeenat bana hua hai. Is ke ilawa musicians apne music mein aur painters apni paintings mein is ka zikar zaroor karte hain.


Dusri kahaniyon ki tarah taj mahal ki kahani bhi apni aik alag pehchan rakhti hai."Aik shehzada jis ka naam khuram tha usay 15 saal ki umar mein aik shehzadi se mohabbat ho gayi thi. Aik rawayat ke mutabiq un donon ne aik dusre ka 5 saal tak intezar kiya aur us 5 saal ke arsay ke doran aik dusre ko aik martaba bhi nahin dekha aur phir 1612 main un donon ki shadi ho gayi.

1628 mein shehzaday ko taj pehna kar Shah Jahan ka naam diya gaya magar is sub ke bawajod Mumtaz ki qismat mein zayada arsay tak Malika banay rehna nahin tha. Yehi wajah hai ke Shahjahan ke 14th bachay ki paidaesh ke baad 1631 mein 39 year ki age mein Mumtaz ne wafat payi.

Mumtaz ki wafat ke baad Shah Jahan dukhi ho gaya aur tarikh ke mutabiq agley 2 years tak sog manaya jata raha. Is 2 saal ke arsay mein puri saltanat mein na tou kisi qisam ki moseeqi bajai gayi aur na hi koi taqreeb ya jashan munaqad kiya gaya. Shah Jahan ne Mumtaz ki yaad mein aik maqbara tameer karne ka hukam diya jis ki sharaet ye thien ke aik aisa maqbara tameer kiya jaye jo is se pehle dunya mein na kabhi tameer kiya gaya ho aur na kabhi dekha gaya ho ta keh Mumtaz aur Shah Jahan ki mohabbat ki yadgar hamesha ke liye history ka hisa ban jaye."

Is maqbara ko banane ke liye Agra mein dunya bhar se khubsurat white marble, ambar, saphire, amethyst, coral, quartzo, crystal, turquoise, lapis lazuli, agatejade mangwaye gaye. Is ke baad is maqbaray ka naam taj mahal rakh diya gaya.

Taj Mahal ki tazeen-o-araesh mein kisi qisam ki kami nahin chori gayi yehi wajah hai ke dunya bhar se log isay dekhne atay hain. Taj Mahal ka design Arabic Style ka hai jis mein qeemti pathar (precious stones) joray gaye.

Khuch logon ka kehna hai ke Shah Jahan apna mazar bhi darya ke dusri taraf banwana chahta tha jo ke taj mahal se zayada khubsurt aur mehnga banna tha aur hisay black marble se tameer kiya jana tha magar us ka ye khwab pura na ho saka aur akhir kar Shah Jahan ne marne ke baad Taj Mahal ke andar hi jagah payi. Is waqia ko 4 sadiyan beet chuki hain magar is ke bawajod taj mahal har saal lakhon logon ko apni taraf matwaja karta hai aur ye umeed ki jati hai ke ye mehal apne wajood ke khatam hone tak isi tarah tawaja ka markaz bana rahe ga.   

Taj Mahal India In English:

The tajmahal india is a mausoleum located in Agra, India, built by Mughal Emperor Shah Jahan in memory of his favorite wife, Mumtaz Mahal.

The tajmahal india is considered the finest example of Mughal architecture, a style that combines elements from Persian, Ottoman, Indian, and Islamic architectural styles. In 1983, the tajmahal india became a UNESCO World Heritage Site and was cited as "the jewel of Muslim art in India and one of the universally admired masterpieces of the world's heritage."
While the white domed marble mausoleum is its most familiar component, the tajmahal india is actually an integrated complex of structures. Building began around 1632 and was completed around 1653, and employed thousands of artisans and craftsmen. The Persian architect, Ustad Ahmad Lahauri is generally considered to be the principal designer of the tajmahal india.
History of tajmahal india
Soon after the Taj Mahal's completion, Shah Jahan was deposed by his son Aurangzeb and put under house arrest at nearby Agra Fort. Upon Shah Jahan's death, Aurangzeb buried him in the tajmahal india next to his wife.

taj mahal india

By the late 19th century, parts of the Taj Mahal had fallen badly into disrepair. During the time of the Indian rebellion of 1857, the tajmahal india l was defaced by British soldiers and government officials, who chiseled out precious stones and lapis lazuli from its walls. At the end of 19th century British viceroy Lord Curzon ordered a massive restoration project, which was completed in 1908 He also commissioned the large lamp in the interior chamber, modeled after one in a Cairo mosque. During this time the garden was remodeled with British-looking lawns that are visible today.
In 1942, the government erected a scaffolding in anticipation of an air attack by German Luftwaffe and later by Japanese Air Force. During the India-Pakistan wars of 1965 and 1971, scaffoldings were again erected to mislead bomber pilots. Its recent threats have come from environmental pollution on the banks of Yamuna River including acid rain due to the Mathura oil refinery, which was opposed by Supreme Court of India directives. The pollution has been turning the tajmahal india l yellow. To help control the pollution, the Indian government has set up the Taj Trapezium Zone (TTZ), a 10,400 square kilometer (6462.26 square mile) area around the monument where strict emissions standards are in place. In 1983, the tajmahal india was designated a UNESCO World Heritage Site.

 Taj Mahal India In English 2:

 The Taj Mahal itests a museum in Agra, India. It is one of the largest in the world.It was built by Mughal emperor Shah Jahan in memory of his third wife, Mumtaz Mahal. It is widely regarded as one of the most beautiful building in the world and stands as a symbol of eternal love.
Taj Mahal is the finest example of Mughal architecture, a style that combines elements from Persian, Islamic and Indian architectural styles united.
In 1983, the Taj Mahal became a UNESCO World Heritage Site. While the white domed marble mausoleum is the best known component of the Taj Mahal, it is actually an integrated complex of structures. The construction began around 1632 and was completed around 1653 and employs thousands of artisans and construction of the Taj Mahal craftsmen.The was entrusted to a board of architects under imperial supervision, including Abdul-Karim Khan Ma'mur, Makramat Khan and Ustad Ahmad Lahauri Lahauri is generally considered to be the chief designer.Here some information about Taj mahal in Urdu and history of taj mahal in urdu language.


 Taj Mahal India In Urdu:
 


About Author

Advertisement

Post a Comment

 
Top